Thursday, January 27, 2011

Dhoop ke makaan sa

A few days back, here in Lippstadt, the nature seemed to be having fun. It rained, snowed and the wind blew recklessly.

It was very difficult to stride ahead as the wind kept me pushing back. My umbrella took an entirely different shape and served some unknown purpose.

Meanwhile a wonderful song kept me moving ahead towards my destination.
And I realised that I have been listening to that song every time I put my player on.

Like we say, it is a silent stealer sorts. With wonderful lyrics and a great acoustic version, this one is a treat, and it finds a place in the list of my favorite songs.

This one's dedicated to all those who cherish the journey more than the destination.

Song: Dhoop ke makaan sa..
Movie: Break ke baad


Baarish hai khayalon mein,
sab dhul jaayega
Roshan rasta naya

ik khul jaayega
Beh jaayega, tinka tinka kal ka silsila
Chalo
mil jaayega aur ik haseen kaafila
Chalo


Dhoop ke makaan sa yeh
hai safar dhalaan sa yeh
mod meherbaan sa hai yeh


Chhat tapakti hai kabhi ehsaas ki
Yaad aati hai puraani pyaas ki
Par naye naye baadal baras kar jhoomte hain
Boondh ki ladiyon se maatha choomte hain
Dekhne ki yeh ghadi hai,
ik nayi rut sang khadi hai
Baat chhoti par badi hai


Dhoop ke makaan sa yeh
hai safar dhalaan sa yeh
mod meherbaan sa hai yeh


Kitni unchi shaakh pe khushiyon ke pal
Phir bhi kuhshboo tod li humne uchhal
Haan, kaanch ka samaan the aur gir gaye hum
Jod kar khud ko banane phir gaye hum
Duur dariya ke kinaare
Zindagi karti ishaare
Aasmaan pe hai naye taare


Dhoop ke makaan sa yeh
hai safar dhalaan sa yeh
mod meherbaan sa hai yeh


 

No comments:

Post a Comment

So..what do you think?

if there were no dreams

  if there were no dreams the permanence would slowly take over and the little escapes into the terrain of subconscious existence would deli...